ibarat is mein har ek be-naqab meri hai
ibārat is meñ har ik be-naqāb merī hai
likhā hai naam tumhārā kitāb merī hai
gulāb toḌ ke zīnat banā lo dāman kī
na khaao ḳhauf ye shāḳh-e-gulāb merī hai
ye mai-kada ye hasīñ jaam go tumhāre haiñ
jo pī rahe ho maze se sharāb merī hai
bhaTak na jaa.e kahīñ asp-e-ishq rāhoñ se
duā laboñ pe tire ham-rikāb merī hai
vo TuuT kar nahīñ girte zamīn par na sahī
sitāre charḳh ke haiñ āb-o-tāb merī hai
maiñ harf harf meñ us ke basā huuñ dhaḌkan sā
koī bhī kah le ḳhushī se kitāb merī hai
ibarat is mein har ek be-naqab meri hai
likha hai nam tumhaara kitab meri hai
gulab toD ke zinat bana lo daman ki
na khao KHauf ye shaKH-e-gulab meri hai
ye mai-kada ye hasin jam go tumhaare hain
jo pi rahe ho maze se sharab meri hai
bhaTak na jae kahin asp-e-ishq rahon se
dua labon pe tere ham-rikab meri hai
wo TuT kar nahin girte zamin par na sahi
sitare charKH ke hain aab-o-tab meri hai
main harf harf mein us ke basa hun dhaDkan sa
koi bhi kah le KHushi se kitab meri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.