Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

Adil Mansuri

iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

Adil Mansuri

MORE BYAdil Mansuri

    iblāġh ke badan meñ tajassus silsila

    TuuTā hai chashm-e-ḳhvāb meñ hairat aa.ina

    jo āsmān ban ke musallat saroñ pe thā

    kis ne use zamīn ke andar dhañsā diyā

    bikhrī haiñ piilī ret pe sūraj haDDiyāñ

    zarroñ ke intizār meñ lamhoñ jhūmnā

    ehrām TūTte haiñ kahāñ sañg-e-vaqt ke

    sahrā tishnagī meñ abul-haul hañs paḌā

    uñglī se us ke jism pe likkhā usī naam

    phir battī band kar ke use DhūñDtā rahā

    shiryāneñ khiñch ke TuuT na jaa.eñ tanāv se

    miTTī pe khul na jaa.e ye darvāza ḳhuun

    maujeñ thiiñ sho.alagī ke samundar meñ tund-o-tez

    maiñ raat bhar ubhartā rahā Dūbtā rahā

    alfāz ragoñ se ma.ānī nichoḌ le

    fāsid mavād kāġhzī ghoḌe pe Daal aa

    iblagh ke badan mein tajassus ka silsila

    TuTa hai chashm-e-KHwab mein hairat ka aaina

    jo aasman ban ke musallat saron pe tha

    kis ne use zamin ke andar dhansa diya

    bikhri hain pili ret pe suraj ki haDDiyan

    zarron ke intizar mein lamhon ka jhumna

    ehram TuTte hain kahan sang-e-waqt ke

    sahra ki tishnagi mein abul-haul hans paDa

    ungli se us ke jism pe likkha usi ka nam

    phir batti band kar ke use DhunDta raha

    shiryanen khinch ke TuT na jaen tanaw se

    miTTi pe khul na jae ye darwaza KHun ka

    maujen thin shoalagi ke samundar mein tund-o-tez

    main raat bhar ubharta raha Dubta raha

    alfaz ki ragon se maani nichoD le

    fasid mawad kaghzi ghoDe pe Dal aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now