iblis ka farman apne siyasi farzandon ke nam
Interesting Fact
Written in Bhopal (Siyasat-e-Mashriq-o-Maghrib) (Zarb-e-Kalim)
lā kar barahmanoñ ko siyāsat ke pech meñ
zunnāriyoñ ko dair-e-kuhan se nikāl do
vo fāqa-kash ki maut se Dartā nahīñ zarā
rūh-e-mohammad us ke badan se nikāl do
fikr-e-'arab ko de ke farañgī taḳhaiyyulāt
islām ko hijāz-o-yaman se nikāl do
afġhāniyoñ kī ġhairat-e-dīñ kā hai ye ‘ilāj
mullā ko un ke koh-o-daman se nikāl do
ahl-e-haram se un kī rivāyāt chhīn lo
aahū ko marġh-zār-e-ḳhutan se nikāl do
'iqbāl' ke nafas se hai laale kī aag tez
aise ġhazal-sarā ko chaman se nikāl do
la kar barahmanon ko siyasat ke pech mein
zunnariyon ko dair-e-kuhan se nikal do
wo faqa-kash ki maut se Darta nahin zara
ruh-e-mohammad us ke badan se nikal do
fikr-e-'arab ko de ke farangi taKHaiyyulat
islam ko hijaz-o-yaman se nikal do
afghaniyon ki ghairat-e-din ka hai ye ‘ilaj
mulla ko un ke koh-o-daman se nikal do
ahl-e-haram se un ki riwayat chhin lo
aahu ko margh-zar-e-KHutan se nikal do
'iqbaal' ke nafas se hai lale ki aag tez
aise ghazal-sara ko chaman se nikal do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.