ibtida bigDi intiha bigDi
ibtidā bigḌī intihā bigḌī
ibn-e-ādam kī har adā bigḌī
chārasāzoñ kī chāra-sāzī se
aur bīmār kī dashā bigḌī
baaz aayā na apnī fitrat se
merī nāseh se bārhā bigḌī
ban gayā marja.a-e-ḳhalā.iq-e-dasht
shahr kī is qadar fazā bigḌī
naam rakkhā gayā sumūm us kā
lāla-o-gul se jab sabā bigḌī
mai-kade meñ bhī dekh kar na kaho
niyyat-e-shaiḳh-e-pārsā bigḌī
tark-e-ulfat ke ba.ad to 'ātish'
baat pahle se bhī sivā bigḌī
ibtida bigDi intiha bigDi
ibn-e-adam ki har ada bigDi
chaarasazon ki chaara-sazi se
aur bimar ki dasha bigDi
baz aaya na apni fitrat se
meri naseh se barha bigDi
ban gaya marja-e-KHalaiq-e-dasht
shahr ki is qadar faza bigDi
nam rakkha gaya sumum us ka
lala-o-gul se jab saba bigDi
mai-kade mein bhi dekh kar na kaho
niyyat-e-shaiKH-e-parsa bigDi
tark-e-ulfat ke baad to 'atish'
baat pahle se bhi siwa bigDi
- Book : Jada-e-manzil (Pg. 24)
- Author : Atish Bahawalpuri
- Publication : Nirali Duniya Publications (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.