idhar baaten chhupane lag gaya hai
idhar bāteñ chhupāne lag gayā hai
vo kuchh kuchh duur jaane lag gayā hai
akele meñ hañsāne lag gayā hai
bahut hī yaad aane lag gayā hai
subah din shaam rāteñ jī uThī hai
ki vo qisse sunāne lag gayā hai
udāsī us kī ḳhanjar sī chubhe hai
mujhe kuchh yuuñ satāne lag gayā hai
aTak jaatā hai jab bhī boltā hai
bahāne jo banāne lag gayā hai
idhar baaten chhupane lag gaya hai
wo kuchh kuchh dur jaane lag gaya hai
akele mein hansane lag gaya hai
bahut hi yaad aane lag gaya hai
subah din sham raaten ji uThi hai
ki wo qisse sunane lag gaya hai
udasi us ki KHanjar si chubhe hai
mujhe kuchh yun satane lag gaya hai
aTak jata hai jab bhi bolta hai
bahane jo banane lag gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.