Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

idhar fifTy fifTy udhar fifTy fifTy

Pagal Adilabadi

idhar fifTy fifTy udhar fifTy fifTy

Pagal Adilabadi

MORE BYPagal Adilabadi

    idhar fifTy fifTy udhar fifTy fifTy

    hai donoñ ko dard-e-jigar fifTy fifTy

    jo check post par maal pakḌā gayā thā

    nazar aa rahā hai magar fifTy fifTy

    hai māl-e-ġhanīmat kafan ye TukḌā

    chalo baañT leñ phaaḌ kar fifTy fifTy

    idhar un ko matlī idhar un ko khujlī

    hai mausam un par asar fifTy fifTy

    hai sar-band botal to label bhī aslī

    milāvaT hai ghī meñ magar fifTy fifTy

    hai sar-band botal to label bhī aslī

    milāvaT hai ghī meñ magar fifTy fifTy

    committē meñ ḳhāzin ohda nahīñ hai

    jo hai mo'tamad aur sadr fifTy fifTy

    badan par hai Dāñbar to hoñToñ pe laalī

    black aur techni color fifTy fifTy

    kabhī sher hai to kabhī haiñ vo gīdaḌ

    hai jorū us ko bhī Dar fifTy fifTy

    idhar fifTy fifTy udhar fifTy fifTy

    hai donon ko dard-e-jigar fifTy fifTy

    jo check post par mal pakDa gaya tha

    nazar aa raha hai magar fifTy fifTy

    hai mal-e-ghanimat kafan ka ye TukDa

    chalo banT len phaD kar fifTy fifTy

    idhar un ko matli idhar un ko khujli

    hai mausam ka un par asar fifTy fifTy

    hai sar-band botal to label bhi asli

    milawaT hai ghi mein magar fifTy fifTy

    hai sar-band botal to label bhi asli

    milawaT hai ghi mein magar fifTy fifTy

    committee mein KHazin ka ohda nahin hai

    jo hai mo'tamad aur sadr fifTy fifTy

    badan par hai Danbar to honTon pe lali

    black aur techni color fifTy fifTy

    kabhi sher hai to kabhi hain wo gidaD

    hai joru ka us ko bhi Dar fifTy fifTy

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now