idhar mail kahan wo mah-jabin hai
idhar maa.il kahāñ vo mah-jabīñ hai
falak ko mujh se kyuuñ parḳhāsh-o-kīñ hai
na dekhā apne bismil kā tamāshā
qarīb aa kar vo kitnā dūr-bīñ hai
ye achchhā hai to achchhā ġhair ko bhī
satāo aur pūchho kyuuñ ġhamīñ hai
hameñ sūrat dikhā.e kyā tamannā
ki āshiq jis ke haiñ parda-nashīñ hai
ye mujh se shikva hai allāh re shoḳhī
ki mere ġham se tū andoh-gīñ hai
ye kaisā tafraqa hijrāñ ne Daalā
kaheñ kyā ham kahīñ haiñ dil kahīñ hai
na pūchho 'sheftā' kā haal sāhab
ye hālat hai ki apne meñ nahīñ hai
idhar mail kahan wo mah-jabin hai
falak ko mujh se kyun parKHash-o-kin hai
na dekha apne bismil ka tamasha
qarib aa kar wo kitna dur-bin hai
ye achchha hai to achchha ghair ko bhi
satao aur puchho kyun ghamin hai
hamein surat dikhae kya tamanna
ki aashiq jis ke hain parda-nashin hai
ye mujh se shikwa hai allah re shoKHi
ki mere gham se tu andoh-gin hai
ye kaisa tafraqa hijran ne Dala
kahen kya hum kahin hain dil kahin hai
na puchho 'shefta' ka haal sahab
ye haalat hai ki apne mein nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.