idhar yar jab mehrbani karega
idhar yaar jab mehrbānī karegā
to apnā bhī jī shādmānī karegā
dayā dil 'nazīr' us ko yuuñ kah ke ai jaañ
kahoge to ye pāsbānī karegā
paḌhegā ye ash.ār baiThoge jab tak
jo leToge afsāna-ḳhvānī karegā
biThāoge dar par to hogā ye darbāñ
laḌāoge to pahlavānī karegā
itā.at meñ ḳhidmat meñ farmāñ-barī meñ
ġharaz har tarah jāñ-fishānī karegā
idhar yar jab mehrbani karega
to apna bhi ji shadmani karega
daya dil 'nazir' us ko yun kah ke ai jaan
kahoge to ye pasbani karega
paDhega ye ashaar baiThoge jab tak
jo leToge afsana-KHwani karega
biThaoge dar par to hoga ye darban
laDaoge to pahlawani karega
itaat mein KHidmat mein farman-bari mein
gharaz har tarah jaan-fishani karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.