idrak KHud-ashna nahin hai
idrāk ḳhud-āshnā nahīñ hai
varna insāñ meñ kyā nahīñ hai
kyā DhūñDhne jā.ūñ maiñ kisī ko
apnā mujhe ḳhud patā nahīñ hai
kyuuñ jām-e-sharāb-e-nāb māñgūñ
saaqī kī nazar meñ kyā nahīñ hai
husn aur navāzish-e-mohabbat
aisā to kabhī huā nahīñ hai
'sīmāb' chaman meñ josh-e-gul se
gunjā.ish-e-naqsh-e-pā nahīñ hai
idrak KHud-ashna nahin hai
warna insan mein kya nahin hai
kya DhunDhne jaun main kisi ko
apna mujhe KHud pata nahin hai
kyun jam-e-sharab-e-nab mangun
saqi ki nazar mein kya nahin hai
husn aur nawazish-e-mohabbat
aisa to kabhi hua nahin hai
'simab' chaman mein josh-e-gul se
gunjaish-e-naqsh-e-pa nahin hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 253)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.