iflas mein bhi rang badan ka nahin utra
iflās meñ bhī rang badan kā nahīñ utrā
faaqe bhī kiye ham ne to chehra nahīñ utrā
ik jhoñk hī meñ chhū liyā qadmoñ ne zamīñ ko
aflāk se vo zīna-ba-zīna nahīñ utrā
paivast-e-zamīñ ho ga.iiñ sab azmateñ lekin
jismoñ se takabbur kā labāda nahīñ utrā
maiñ bhī na kharā utrā tirī maslahatoñ par
tū bhī mire me.aar pe puurā nahīñ utrā
uryāniyāñ pahne hue haiñ beTiyāñ us kī
sar se kabhī jis maañ ke dupaTTa nahīñ utrā
tā-umr maiñ kartā rahā alfāz kā pīchhā
tā-umr mire sar se ye saudā nahīñ utrā
kyā haal ke qisse likhe jaa.eñ ki abhī tak
maazī kī hikāyāt kā nashsha nahīñ utrā
daana to bahut Daalā mirī aql ne 'jauhar'
āñgan meñ kabhī koī parinda nahīñ utrā
iflas mein bhi rang badan ka nahin utra
faqe bhi kiye hum ne to chehra nahin utra
ek jhonk hi mein chhu liya qadmon ne zamin ko
aflak se wo zina-ba-zina nahin utra
paiwast-e-zamin ho gain sab azmaten lekin
jismon se takabbur ka labaada nahin utra
main bhi na khara utra teri maslahaton par
tu bhi mere mear pe pura nahin utra
uryaniyan pahne hue hain beTiyan us ki
sar se kabhi jis man ke dupaTTa nahin utra
ta-umr main karta raha alfaz ka pichha
ta-umr mere sar se ye sauda nahin utra
kya haal ke qisse likhe jaen ki abhi tak
mazi ki hikayat ka nashsha nahin utra
dana to bahut Dala meri aql ne 'jauhar'
aangan mein kabhi koi parinda nahin utra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.