Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai

Muzaffar Shikoh

id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai

Muzaffar Shikoh

MORE BYMuzaffar Shikoh

    Interesting Fact

    October 1982

    iid hai aur sāqī-e-nau-ḳhez maiḳhāne meñ hai

    aaj piine maza kar bahak jaane meñ hai

    kaif-o-mastī jo tirī āñkhoñ ke ḳhum-ḳhāne meñ hai

    vo tirī miinā meñ hai saaqī na paimāne meñ hai

    hai ġham-e-dīvār us ko aur na fikr-e-pairahan

    kyā farāġhat tere dīvāne ko vīrāne meñ hai

    gar jalāne meñ jigar ḳhuuñ hai lutf-e-intizār

    hijr lazzat bhī mar mar ke jiye jaane meñ hai

    us nazreñ bhāñp letī haiñ tujhe har rañg meñ

    kis balā hoshiyārī tere dīvāne meñ hai

    aur uljhāte chale jaate ho mere sub.h-o-shām

    jab se tum ko ye shaġhaf gesū ke suljhāne meñ hai

    ab balā se ho charāġh-e-dair sham-e-haram

    qasd jal kar ḳhaak ho jaane parvāne meñ hai

    id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai

    aaj pine ka maza pi kar bahak jaane mein hai

    kaif-o-masti jo teri aankhon ke KHum-KHane mein hai

    wo teri mina mein hai saqi na paimane mein hai

    hai gham-e-diwar us ko aur na fikr-e-pairahan

    kya faraghat tere diwane ko virane mein hai

    gar jalane mein jigar ka KHun hai lutf-e-intizar

    hijr ki lazzat bhi mar mar ke jiye jaane mein hai

    us ki nazren bhanp leti hain tujhe har rang mein

    kis bala ki hoshiyari tere diwane mein hai

    aur uljhate chale jate ho mere subh-o-sham

    jab se tum ko ye shaghaf gesu ke suljhane mein hai

    ab bala se ho charagh-e-dair ya sham-e-haram

    qasd jal kar KHak ho jaane ka parwane mein hai

    Tagged Under

    Eid
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now