iman ka lutf pahlu-e-tashkik mein mila
īmāñ kā lutf pahlū-e-tashkīk meñ milā
ye chāñd jab milā shab-e-tārīk meñ milā
barsoñ rahā huuñ kāsa-e-tanhā.ī ho ke maiñ
ik din huzūr-e-yār mujhe bhiik meñ milā
halkā sā ik laboñ kā ishāra hī thā bahut
phir jo milā mujhe usī tahrīk meñ milā
ziina mirī bulandī-e-darjāt kā banā
tujh ko jo ye maza mirī taz.hīk meñ milā
khāyā thā kis ke haath se 'ehsās-jī' ne paan
ḳhūn-e-badan sab us kī bas ik piik meñ milā
iman ka lutf pahlu-e-tashkik mein mila
ye chand jab mila shab-e-tarik mein mila
barson raha hun kasa-e-tanhai ho ke main
ek din huzur-e-yar mujhe bhik mein mila
halka sa ek labon ka ishaara hi tha bahut
phir jo mila mujhe usi tahrik mein mila
zina meri bulandi-e-darjat ka bana
tujh ko jo ye maza meri tazhik mein mila
khaya tha kis ke hath se 'ehsas-ji' ne pan
KHun-e-badan sab us ki bas ek pik mein mila
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 45)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.