Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

iman-nawaz gardish-e-paimana ho gai

Abdul Majeed Hairat

iman-nawaz gardish-e-paimana ho gai

Abdul Majeed Hairat

MORE BYAbdul Majeed Hairat

    īmāñ-navāz gardish-e-paimāna ho ga.ī

    ham se bhī ek laġhzish-e-mastāna ho ga.ī

    koī to baat sham.a ke jalne meñ thī zarūr

    jis par nisār hastī-e-parvāna ho ga.ī

    sad-shukr aaj ho to ga.ī un se guftugū

    ye aur baat hai ki harīfāna ho ga.ī

    allāh re ashk-bārī-e-sham-e-shab-e-firāq

    jo sub.h hote hote ik afsāna ho ga.ī

    'hairat' ke ġham-kade meñ ḳhushī guzar kahāñ

    aap aa ga.e to raunaq-e-kāshāna ho ga.ī

    iman-nawaz gardish-e-paimana ho gai

    hum se bhi ek laghzish-e-mastana ho gai

    koi to baat shama ke jalne mein thi zarur

    jis par nisar hasti-e-parwana ho gai

    sad-shukr aaj ho to gai un se guftugu

    ye aur baat hai ki harifana ho gai

    allah re ashk-bari-e-sham-e-shab-e-firaq

    jo subh hote hote ek afsana ho gai

    'hairat' ke gham-kade mein KHushi ka guzar kahan

    aap aa gae to raunaq-e-kashana ho gai

    Source :
    • Book : Noquush (Pg. B-347 E363)
    • Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
    • Edition : May June 1954
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now