ijazat ho to main sharh-e-hayat-e-raegan kar lun
ijāzat ho to maiñ sharh-e-hayāt-e-rā.egāñ kar luuñ
zabāñ ko dil banā luuñ aur nazar ko dāstāñ kar luuñ
ġham-e-dil ke ujāle meñ murattab dāstāñ kar luuñ
vafā kī aaḌ le kar aap kah deñ to fuġhāñ kar luuñ
munāsib ho to ab tāroñ kī sham'eñ aap gul kar deñ
bahut mumkin hai shāyad maiñ inheñ bhī rāz-dāñ kar luuñ
mirā ‘azm-o-yaqīñ bhārī rahā hai har zamāne par
maiñ ab bhī zid pe aa jā.ūñ to hāsil do-jahāñ kar luuñ
irāda kar chukā huuñ to chalā hī jā.uñgā lekin
zarā kuchh aur 'bāsit' intizār-e-kārvāñ kar luuñ
ijazat ho to main sharh-e-hayat-e-raegan kar lun
zaban ko dil bana lun aur nazar ko dastan kar lun
gham-e-dil ke ujale mein murattab dastan kar lun
wafa ki aaD le kar aap kah den to fughan kar lun
munasib ho to ab taron ki sham'en aap gul kar den
bahut mumkin hai shayad main inhen bhi raaz-dan kar lun
mera ‘azm-o-yaqin bhaari raha hai har zamane par
main ab bhi zid pe aa jaun to hasil do-jahan kar lun
irada kar chuka hun to chala hi jaunga lekin
zara kuchh aur 'basit' intizar-e-karwan kar lun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.