ek adhuri si sham baqi hai
ik adhūrī sī shaam baaqī hai
lamhoñ se intiqām baaqī hai
saare dushman ko likh liyā us ne
sirf merā hī naam baaqī hai
jhūmte phir rahe haiñ bas vo hī
jin ke hāthoñ meñ jaam baaqī hai
koī sūrat nahīñ magar us kā
kore kāġhaz pe naam baaqī hai
tum kahoge to vaqt le luuñ zarā
sub.h baaqī hai shaam baaqī hai
ek adhuri si sham baqi hai
lamhon se intiqam baqi hai
sare dushman ko likh liya us ne
sirf mera hi nam baqi hai
jhumte phir rahe hain bas wo hi
jin ke hathon mein jam baqi hai
koi surat nahin magar us ka
kore kaghaz pe nam baqi hai
tum kahoge to waqt le lun zara
subh baqi hai sham baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.