ek ajab hi silsila tha main na tha
ik ajab hī silsila thā maiñ na thā
mujh meñ koī rah rahā thā maiñ na thā
maiñ kisī kā aks huuñ mujh par khulā
aa.ine kā aa.ina thā maiñ na thā
maiñ tumhārā mas.ala hargiz na thā
ye tumhārā mas.ala thā maiñ na thā
phir khulā maiñ donoñ ke mābain huuñ
ik zarā sā fāsla thā maiñ na thā
ek ziine par qadam jaise rukeñ
tirī rah kā marhala thā maiñ na thā
vo jo ik gum-karda-rah thā dasht meñ
vo to merā rahnumā thā maiñ na thā
ūñchī nīchī raah mahv-e-raqs thī
Dagmagātā rāsta thā maiñ na thā
tum ne jis se samt pūchhī dasht meñ
vo koī qibla-numā thā maiñ na thā
ye kahānī thī magar merī na thī
vo jo mard-e-mājrā thā maiñ na thā
maiñ to apnī shāḳh se thā muttasil
paat jo vaqf-e-havā thā maiñ na thā
ḳhud se mil kar bujh gayā thā maiñ to kal
diip jo shab bhar jalā thā maiñ na thā
maiñ na thā kahtā thā jo har baat par
vo to koī dūsrā thā maiñ na thā
maiñ to 'ahmad' kab se mahv-e-yās huuñ
kal jo mahfil meñ hañsā thā maiñ na thā
ek ajab hi silsila tha main na tha
mujh mein koi rah raha tha main na tha
main kisi ka aks hun mujh par khula
aaine ka aaina tha main na tha
main tumhaara masala hargiz na tha
ye tumhaara masala tha main na tha
phir khula main donon ke mabain hun
ek zara sa fasla tha main na tha
ek zine par qadam jaise ruken
teri rah ka marhala tha main na tha
wo jo ek gum-karda-rah tha dasht mein
wo to mera rahnuma tha main na tha
unchi nichi rah mahw-e-raqs thi
Dagmagata rasta tha main na tha
tum ne jis se samt puchhi dasht mein
wo koi qibla-numa tha main na tha
ye kahani thi magar meri na thi
wo jo mard-e-majra tha main na tha
main to apni shaKH se tha muttasil
pat jo waqf-e-hawa tha main na tha
KHud se mil kar bujh gaya tha main to kal
dip jo shab bhar jala tha main na tha
main na tha kahta tha jo har baat par
wo to koi dusra tha main na tha
main to 'ahmad' kab se mahw-e-yas hun
kal jo mahfil mein hansa tha main na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.