ek ajab sarKHushi nigah mein hai
ik 'ajab sarḳhushī nigāh meñ hai
jaise tū phir se merī chaah meñ hai
tū bhī rah rah ke mujh ko yaad kare
merā bhī dil tirī panāh meñ hai
tez bārish hai aur charāġh mirā
kaisā ghamsān is sipāh meñ hai
dhuup sar par barahna-pā be-ghar
ḳhud-farāmoshī to gunāh meñ hai
chādar-e-shab hai aur saf-e-mātam
muzmahil koī ranj-e-shāh meñ hai
ek 'ajab sarKHushi nigah mein hai
jaise tu phir se meri chah mein hai
tu bhi rah rah ke mujh ko yaad kare
mera bhi dil teri panah mein hai
tez barish hai aur charagh mera
kaisa ghamsan is sipah mein hai
dhup sar par barahna-pa be-ghar
KHud-faramoshi to gunah mein hai
chadar-e-shab hai aur saf-e-matam
muzmahil koi ranj-e-shah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.