ek an-jaani duniya DhunD raha hun
ik an-jānī duniyā DhūñD rahā huuñ
tārīkī meñ rasta DhūñDh rahā huuñ
tanhā tanhā ghuum rahā huuñ gum-sum
galī galī koī ḳhud sā DhūñDh rahā huuñ
patta patta naach rahī hai zardī
gulshan gulshan sabza DhūñD rahā huuñ
rañgoñ ke is ghor-ghane jañgal meñ
khoyā huā ik chehra DhūñD rahā huuñ
baiTh ke tanhā.ī meñ aap apne se
koī purānā rishta DhūñDh rahā huuñ
ek an-jaani duniya DhunD raha hun
tariki mein rasta DhunDh raha hun
tanha tanha ghum raha hun gum-sum
gali gali koi KHud sa DhunDh raha hun
patta patta nach rahi hai zardi
gulshan gulshan sabza DhunD raha hun
rangon ke is ghor-ghane jangal mein
khoya hua ek chehra DhunD raha hun
baiTh ke tanhai mein aap apne se
koi purana rishta DhunDh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.