ek anjaan rah par donon
ik anjān raah par donoñ
mil ga.e aaj be-ḳhatar donoñ
phuul hai ek ek patthar hai
ban ga.e kaise ham-safar donoñ
fāsle aise kam nahīñ hoñge
chhoḌ deñ apnā apnā ghar donoñ
Takkareñ le rahe haiñ duniyā se
dil meñ rakhte nahīñ haiñ Dar donoñ
taaḌ lete haiñ tāḌne vaale
go milāte nahīñ nazar donoñ
raat ik dūsre meñ Duub ga.e
ho ga.e ḳhud se be-ḳhabar donoñ
ho ke gumrāh āj-kal 'rāhī'
phir rahe haiñ nagar nagar donoñ
ek anjaan rah par donon
mil gae aaj be-KHatar donon
phul hai ek ek patthar hai
ban gae kaise ham-safar donon
fasle aise kam nahin honge
chhoD den apna apna ghar donon
Takkaren le rahe hain duniya se
dil mein rakhte nahin hain Dar donon
taD lete hain taDne wale
go milate nahin nazar donon
raat ek dusre mein Dub gae
ho gae KHud se be-KHabar donon
ho ke gumrah aaj-kal 'rahi'
phir rahe hain nagar nagar donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.