ek aur zindagi hai suna hai qaza ke baad
ik aur zindagī hai sunā hai qazā ke baad
ya.anī sazā hai aur abhī is sazā ke baad
kyā jāniye kahāñ maiñ khaḌā chīḳhtā rahā
ubhrī na bāzgasht bhī merī sadā ke baad
lagtā hai ab ye zor-e-talātum ko dekh kar
jaise na ho ḳhudā bhī merā nā-ḳhudā ke baad
badlo jo tum nigāh to ye bhī rahe ḳhayāl
ā.īna TuuT jaa.e hai aks-e-jafā ke baad
'asrār' aadmī huuñ koī devtā nahīñ
manzil bhī chāhtā huuñ maiñ rāh-e-vafā ke baad
ek aur zindagi hai suna hai qaza ke baad
yani saza hai aur abhi is saza ke baad
kya jaaniye kahan main khaDa chiKHta raha
ubhri na bazgasht bhi meri sada ke baad
lagta hai ab ye zor-e-talatum ko dekh kar
jaise na ho KHuda bhi mera na-KHuda ke baad
badlo jo tum nigah to ye bhi rahe KHayal
aaina TuT jae hai aks-e-jafa ke baad
'asrar' aadmi hun koi dewta nahin
manzil bhi chahta hun main rah-e-wafa ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.