ek aziyyat hai kar-e-wahshat hai
ik aziyyat hai kār-e-vahshat hai
ai ḳhudā kyā yahī mohabbat hai
dil abhī tak bharā nahīñ merā
kyā abhī chaar din kī mohlat hai
chārāgar mujh se pūchhne aa.e
bach nikalne kī koī sūrat hai
tum mujhe chhoḌ kar na jāoge
jhuuT kahne meñ kyā qabāhat hai
maiñ to us ko ḳhudā samajhtā huuñ
dekhne kī kahāñ ijāzat hai
koī mujh se bichhaḌne vaalā hai
āsmāñ kī ajiib hālat hai
ek aziyyat hai kar-e-wahshat hai
ai KHuda kya yahi mohabbat hai
dil abhi tak bhara nahin mera
kya abhi chaar din ki mohlat hai
chaaragar mujh se puchhne aae
bach nikalne ki koi surat hai
tum mujhe chhoD kar na jaoge
jhuT kahne mein kya qabahat hai
main to us ko KHuda samajhta hun
dekhne ki kahan ijazat hai
koi mujh se bichhaDne wala hai
aasman ki ajib haalat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.