ek bar mil ke wo mere sab KHwab le gaya
ik baar mil ke vo mire sab ḳhvāb le gayā
āñkhoñ se merī saarī tab-o-tāb le gayā
gahre samundaroñ meñ jo utrā thā ek baar
motī vo saare DhūñD ke nāyāb le gayā
pahle bujhā.e us ne mire ghar ke sab charāġh
phir mere āsmān se mahtāb le gayā
aayā to us ke saath mirī zindagī bhī thī
jaate hue vo ziist ke asbāb le gayā
vo chhoḌ kar gayā to maiñ gum-sum sī rah ga.ī
'sīmā' ye sāneha mire a.asāb le gayā
ek bar mil ke wo mere sab KHwab le gaya
aankhon se meri sari tab-o-tab le gaya
gahre samundaron mein jo utra tha ek bar
moti wo sare DhunD ke nayab le gaya
pahle bujhae us ne mere ghar ke sab charagh
phir mere aasman se mahtab le gaya
aaya to us ke sath meri zindagi bhi thi
jate hue wo zist ke asbab le gaya
wo chhoD kar gaya to main gum-sum si rah gai
'sima' ye saneha mere aasab le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.