ek bar mohabbat mein ye dil jo TuT gaya so TuT gaya
ik baar mohabbat meñ ye dil jo TuuT gayā so TuuT gayā
maalā meñ piroyā sau motī jo chhūT gayā so chhūT gayā
dil aisā nāzuk shīsha hai ye phir se na joḌā jaatā hai
ik baar kisī ke hāthoñ se jo TuuT gayā so TuuT gayā
ulfat kā muqaddar bhī zālim bas bulbule jaisā hotā hai
ye bulbula ban kar paanī par jo phuuT gayā so phuuT gayā
ik baar hī joḌā jaatā hai ik dil se rishta ik dil kā
vo ḳhvāb na phir se aatā hai jo TuuT gayā so TuuT gayā
be-ma.anī shikāyat aur shikve hāthoñ kā malnā be-ma.anī
ik baar vafā kī rāhoñ meñ jo luuT gayā so luuT gayā
ek bar mohabbat mein ye dil jo TuT gaya so TuT gaya
mala mein piroya sau moti jo chhuT gaya so chhuT gaya
dil aisa nazuk shisha hai ye phir se na joDa jata hai
ek bar kisi ke hathon se jo TuT gaya so TuT gaya
ulfat ka muqaddar bhi zalim bas bulbule jaisa hota hai
ye bulbula ban kar pani par jo phuT gaya so phuT gaya
ek bar hi joDa jata hai ek dil se rishta ek dil ka
wo KHwab na phir se aata hai jo TuT gaya so TuT gaya
be-mani shikayat aur shikwe hathon ka malna be-mani
ek bar wafa ki rahon mein jo luT gaya so luT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.