ek bar phir kaho usi naz-o-ada ke sath
ik baar phir kaho usī nāz-o-adā ke saath
tū ne tamām umr guzārī vafā ke saath
saaqī sharāb-e-nāb maza de rahī hai aur
is ittifāq-e-vaqt is abr-o-havā ke saath
ye kyā batā.eñ ham ki sharīk-e-safar thā kaun
manzil pe aa ga.e haiñ kisī rahnumā ke saath
jaur-o-jafā meñ buḳhl nigāh-e-karam meñ uzr
ye kyā sulūk hai dil-e-dard-āshnā ke saath
us sang-dil ko rahm na aa.e to kyā karūñ
sar rakh diyā hai paaoñ pe kis iltijā ke saath
is iltifāt-e-ḳhās pe qurbān jān-o-dil
vo mujh se pesh aa.e haiñ kis e'tinā ke saath
ham ne ye dil se ahd kiyā hai ki tā-hayāt
'nudrat' vafā kareñge ham us bevafā ke saath
ek bar phir kaho usi naz-o-ada ke sath
tu ne tamam umr guzari wafa ke sath
saqi sharab-e-nab maza de rahi hai aur
is ittifaq-e-waqt is abr-o-hawa ke sath
ye kya bataen hum ki sharik-e-safar tha kaun
manzil pe aa gae hain kisi rahnuma ke sath
jaur-o-jafa mein buKHl nigah-e-karam mein uzr
ye kya suluk hai dil-e-dard-ashna ke sath
us sang-dil ko rahm na aae to kya karun
sar rakh diya hai paon pe kis iltija ke sath
is iltifat-e-KHas pe qurban jaan-o-dil
wo mujh se pesh aae hain kis e'tina ke sath
hum ne ye dil se ahd kiya hai ki ta-hayat
'nudrat' wafa karenge hum us bewafa ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.