ek bahana bana ke chhoD gaya
ik bahāna banā ke chhoḌ gayā
vo hameñ aazmā ke chhoḌ gayā
ik musalsal kamā.ī thī chāhat
chand sikke kamā ke chhoḌ gayā
dil ko tabla samajh rakhā hai kyā
jo bhī aayā bajā ke chhoḌ gayā
chhoḌ jaate haiñ bevafā to bas
vo to phir bhī batā ke chhoḌ gayā
maiñ du'ā par thā munhasir 'āsif'
vo bharose davā ke chhoḌ gayā
ek bahana bana ke chhoD gaya
wo hamein aazma ke chhoD gaya
ek musalsal kamai thi chahat
chand sikke kama ke chhoD gaya
dil ko tabla samajh rakha hai kya
jo bhi aaya baja ke chhoD gaya
chhoD jate hain bewafa to bas
wo to phir bhi bata ke chhoD gaya
main du'a par tha munhasir 'asif'
wo bharose dawa ke chhoD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.