ek brahman ne kaha hai mere haal-e-zar par
ik brahman ne kahā hai mere hāl-e-zār par
ho ke momin mar rahā hai kyuuñ but-e-pindār par
dekh kar bārish kī būñdeñ sochtā rahtā huuñ maiñ
ro rahā hai āsmāñ bhī aaj hijr-e-yār par
jaane kitne 'āshiqoñ kī jaan kā dushman hai ye
jo hasīñ Dimpal paḌā hai aap ke ruḳhsār par
hai marīz-e-'ishq to mahbūb ke pahlū meñ jā
is maraz kī to davā miltī nahīñ 'attār par
yuuñ lagā us gul-badan ko aaj chhū lene ke baa'd
ungliyāñ rakh dī hoñ maiñ ne jaise nok-e-ḳhār par
she'r kab maiñ ne kahe haiñ ḳhuun thūkā hai 'bilāl'
daad to bantī hai sāhab mere in ash’ār par
ek brahman ne kaha hai mere haal-e-zar par
ho ke momin mar raha hai kyun but-e-pindar par
dekh kar barish ki bunden sochta rahta hun main
ro raha hai aasman bhi aaj hijr-e-yar par
jaane kitne 'ashiqon ki jaan ka dushman hai ye
jo hasin Dimpal paDa hai aap ke ruKHsar par
hai mariz-e-'ishq to mahbub ke pahlu mein ja
is maraz ki to dawa milti nahin 'attar par
yun laga us gul-badan ko aaj chhu lene ke ba'd
ungliyan rakh di hon main ne jaise nok-e-KHar par
she'r kab main ne kahe hain KHun thuka hai 'bilal'
dad to banti hai sahab mere in ash’ar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.