ik-baTa-do ko karun kyun na raqam do-baTa-chaar
ik-baTa-do ko karun kyun na raqam do-baTa-chaar
Waqar Hilm Syed Naglavi
MORE BYWaqar Hilm Syed Naglavi
ik-baTā-do ko karūñ kyuuñ na raqam do-baTā-chār
is ġhazal par hai qavāfī kā karam do-baTā-chār
sho.ala-e-gul se chaman meñ kahīñ lag jaa.e na aag
ab to shabnam bhī nazar aatī hai nam do-baTā-chār
kaun kahtā hai ki jañgal meñ nahīñ sher ko ġham
maiñ ne zaiġham meñ milā dekhā hai ġham do-baTā-chār
us ke siine se lage baiThe haiñ zaḳhmoñ ke sabab
dekho marham meñ nazar aate haiñ ham do-baTā-chār
qāsim-e-nār-o-jināñ kī hai mohabbat dil meñ
ho gayā hissa jahannum kā to nam do-baTā-chār
mausam-e-gul kī qasam khā na ḳhudārā bulbul
dekh mausam meñ milā rahtā hai sam do-baTā-chār
dil liye phirtā hai tasvīr-e-butāñ kā album
phaT na jaa.e ye kahīñ is meñ hai bam do-baTā-chār
sūrat-e-badr hilāl aa.ī nazar un kī jabīñ
zulfeñ lahrā.īñ haiñ khā khā ke jo ḳham do-baTā-chār
va.ade hamdam ke raheñ kyuuñ na adhūre ai 'vaqār'
is meñ lo ḳhud hī nazar aatā hai dam do-baTā-chār
ik-baTa-do ko karun kyun na raqam do-baTa-chaar
is ghazal par hai qawafi ka karam do-baTa-chaar
shoala-e-gul se chaman mein kahin lag jae na aag
ab to shabnam bhi nazar aati hai nam do-baTa-chaar
kaun kahta hai ki jangal mein nahin sher ko gham
main ne zaigham mein mila dekha hai gham do-baTa-chaar
us ke sine se lage baiThe hain zaKHmon ke sabab
dekho marham mein nazar aate hain hum do-baTa-chaar
qasim-e-nar-o-jinan ki hai mohabbat dil mein
ho gaya hissa jahannum ka to nam do-baTa-chaar
mausam-e-gul ki qasam kha na KHudara bulbul
dekh mausam mein mila rahta hai sam do-baTa-chaar
dil liye phirta hai taswir-e-butan ka album
phaT na jae ye kahin is mein hai bam do-baTa-chaar
surat-e-badr hilal aai nazar un ki jabin
zulfen lahrain hain kha kha ke jo KHam do-baTa-chaar
wade hamdam ke rahen kyun na adhure ai 'waqar'
is mein lo KHud hi nazar aata hai dam do-baTa-chaar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.