ek be-ant samundar teri manzil ai dariya
ik be-ant samundar terī manzil ai dariyā
phir bhī ḳhaak uḌā.īñ tere sāhil ai dariyā
kitnī umroñ se maiñ tere saath safar meñ huuñ
khol apne asrār kabhī tū ai dil ai dariyā
sīnoñ aur zamīnoñ ko na agar sairāb kareñ
terā merā honā hai lā-hāsil ai dariyā
ham bhī parbat kāTte haiñ aur miTTī chāTte haiñ
ham bhī tere kumbe meñ haiñ shāmil ai dariyā
ek be-ant samundar teri manzil ai dariya
phir bhi KHak uDain tere sahil ai dariya
kitni umron se main tere sath safar mein hun
khol apne asrar kabhi tu ai dil ai dariya
sinon aur zaminon ko na agar sairab karen
tera mera hona hai la-hasil ai dariya
hum bhi parbat kaTte hain aur miTTi chaTte hain
hum bhi tere kumbe mein hain shamil ai dariya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.