ek be-karan sukut hai ab shamil-e-hayat
ik be-karāñ sukūt hai ab shāmil-e-hayāt
uf kis jagah pe Thahr ga.ī nabz-e-kā.enāt
dukh hai na mastiyāñ haiñ na āvārgī koī
allāh-re qayāmat-e-pazhmurdagī-e-zāt
nashsha thā zindagī thī tabī.at javān thī
ab ġham nahīñ jo terā to be-rañg hai hayāt
mere junūñ ko aap suḳhan-gustarī kaheñ
pinhāñ haiñ ek lafz meñ kitne hī tajrabāt
aao 'rafīq' DhūñDheñ koī ham-ḳhayāl phir
nai din meñ chain hai na sukūñ ham ko raat raat
ek be-karan sukut hai ab shamil-e-hayat
uf kis jagah pe Thahr gai nabz-e-kaenat
dukh hai na mastiyan hain na aawargi koi
allah-re qayamat-e-pazhmurdagi-e-zat
nashsha tha zindagi thi tabiat jawan thi
ab gham nahin jo tera to be-rang hai hayat
mere junun ko aap suKHan-gustari kahen
pinhan hain ek lafz mein kitne hi tajrabaat
aao 'rafiq' DhunDhen koi ham-KHayal phir
nai din mein chain hai na sukun hum ko raat raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.