ek be-qarar dil se mulaqat kijiye
ik be-qarār dil se mulāqāt kījiye
jab mil ga.e haiñ aap to kuchh baat kījiye
pahle-pahal huā hai mirī zindagī meñ din
zulfoñ meñ muñh chhupā ke na phir raat kījiye
nazroñ se guftugū kī hadeñ ḳhatm ho chukīñ
jo dil meñ hai zabāñ se vahī baat kījiye
kal intiqām le na mirā pyaar aap se
itnā sitam na aaj mire saath kījiye
bas ek ḳhāmushī hai har ik baat kā javāb
kitne hī zindagī se savālāt kījiye
nazreñ milā milā ke nazar pher pher ke
majrūh aur dil ke na hālāt kījiye
dil ke sivā kisī ko nahīñ jin kī kuchh ḳhabar
duniyā se kyā bayāñ vo hikāyāt kījiye
ek be-qarar dil se mulaqat kijiye
jab mil gae hain aap to kuchh baat kijiye
pahle-pahal hua hai meri zindagi mein din
zulfon mein munh chhupa ke na phir raat kijiye
nazron se guftugu ki haden KHatm ho chukin
jo dil mein hai zaban se wahi baat kijiye
kal intiqam le na mera pyar aap se
itna sitam na aaj mere sath kijiye
bas ek KHamushi hai har ek baat ka jawab
kitne hi zindagi se sawalat kijiye
nazren mila mila ke nazar pher pher ke
majruh aur dil ke na haalat kijiye
dil ke siwa kisi ko nahin jin ki kuchh KHabar
duniya se kya bayan wo hikayat kijiye
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 269)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.