ek bhiD hai jalwon ki aur meri nazar tanha
ik bhiiḌ hai jalvoñ kī aur merī nazar tanhā
hai ā.ina-ḳhāne meñ ḳhud ā.ina-gar tanhā
un paañv ke chhāloñ se pūchho ye batā.eñge
tai kaise kiyā ham ne sho.aloñ kā safar tanhā
jalte hue mausam meñ is tarah vo hañstā hai
sahrā meñ hañse jaise koī gul-e-tar tanhā
kyā jāniye kyuuñ mujh par ye ḳhaas ināyat hai
kyā jāniye jaltā hai kyuuñ merā hī ghar tanhā
ik shor-e-qayāmat hai aur bhiiḌ hai chehroñ kī
is daur meñ rahtā hai har shaḳhs magar tanhā
tanhā.ī kā ġham tum ko us vaqt maza degā
merī hī tarah tum bhī ho jaao agar tanhā
ek bhiD hai jalwon ki aur meri nazar tanha
hai aaina-KHane mein KHud aaina-gar tanha
un panw ke chhaalon se puchho ye bataenge
tai kaise kiya hum ne shoalon ka safar tanha
jalte hue mausam mein is tarah wo hansta hai
sahra mein hanse jaise koi gul-e-tar tanha
kya jaaniye kyun mujh par ye KHas inayat hai
kya jaaniye jalta hai kyun mera hi ghar tanha
ek shor-e-qayamat hai aur bhiD hai chehron ki
is daur mein rahta hai har shaKHs magar tanha
tanhai ka gham tum ko us waqt maza dega
meri hi tarah tum bhi ho jao agar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.