ek bhuk ubhri pairahan-e-zar-nigar se
ik bhuuk ubhrī pairahan-e-zar-nigār se
bad-sūratī jhalakne lagī ishtihār se
tishna-labī ko peḌ ke saa.e se kyā ġharaz
nam phūTtā hai raah se yā regzār se
mumkin hai ab zamīn ualTnī paḌe mujhe
kuchh farq paḌne vaalā nahīñ jab pukār se
ya.anī tirā badan hai banāvaT meñ kuchh ajiib
ya.anī tujhe gurez hai miTTī ke baar se
āvāz ho chukā hai magar boltā nahīñ
is lab ko kuchh kalām nahīñ iḳhtiyār se
ek bhuk ubhri pairahan-e-zar-nigar se
bad-surati jhalakne lagi ishtihaar se
tishna-labi ko peD ke sae se kya gharaz
nam phuTta hai rah se ya regzar se
mumkin hai ab zamin ualTni paDe mujhe
kuchh farq paDne wala nahin jab pukar se
yani tera badan hai banawaT mein kuchh ajib
yani tujhe gurez hai miTTi ke bar se
aawaz ho chuka hai magar bolta nahin
is lab ko kuchh kalam nahin iKHtiyar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.