ek bosa dijiye mera iman lijiye
ik bosa dījiye mirā īmān lījiye
go but haiñ aap bahr-e-ḳhudā maan lījiye
dil le ke kahte haiñ tirī ḳhātir se le liyā
ulTā mujhī pe rakhte haiñ ehsān lījiye
ġhairoñ ko apne haath se hañs kar khilā diyā
mujh se kabīda ho ke kahā paan lījiye
marnā qubūl hai magar ulfat nahīñ qubūl
dil to na dūñgā aap ko maiñ jaan lījiye
hāzir huā karūñgā maiñ aksar huzūr meñ
aaj achchhī tarah se mujhe pahchān lījiye
ek bosa dijiye mera iman lijiye
go but hain aap bahr-e-KHuda man lijiye
dil le ke kahte hain teri KHatir se le liya
ulTa mujhi pe rakhte hain ehsan lijiye
ghairon ko apne hath se hans kar khila diya
mujh se kabida ho ke kaha pan lijiye
marna qubul hai magar ulfat nahin qubul
dil to na dunga aap ko main jaan lijiye
hazir hua karunga main aksar huzur mein
aaj achchhi tarah se mujhe pahchan lijiye
- Book : kulliyat-e-akbar allahabadi (Pg. 116)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.