ek bund thi lahu ki sar-e-dar to giri
ik buuñd thī lahū kī sar-e-dār to girī
ye bhī bahut hai ḳhauf kī dīvār to girī
kuchh muġhbachoñ kī jur.at-e-rindāna ke nisār
ab ke ḳhatīb-e-shahr kī dastār to girī
kuchh sar bhī kaT gire haiñ pa kohrām to machā
yuuñ qātiloñ ke haath se talvār bhī girī
ek bund thi lahu ki sar-e-dar to giri
ye bhi bahut hai KHauf ki diwar to giri
kuchh mughbachon ki jurat-e-rindana ke nisar
ab ke KHatib-e-shahr ki dastar to giri
kuchh sar bhi kaT gire hain pa kohram to macha
yun qatilon ke hath se talwar bhi giri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.