ek charaghan raat bhar pani pe hai
ik charāġhāñ raat bhar paanī pe hai
raushnī kā ik nagar paanī pe hai
aks Dhaltī shab ke rang-o-nūr kā
jāzib-e-qalb-o-nazar paanī pe hai
chheḌtī hai rāgnī patvār kyā
ek naġhma sar-basar paanī pe hai
chāñd kī aTkheliyāñ lahroñ ke saath
khel jaarī raat bhar paanī pe hai
kashtiyāñ un kī tsunami le ga.ī
jin ġharīboñ kā basar paanī pe hai
ek muTThī ḳhaak anjām-e-hayāt
asthiyoñ kā phir safar paanī pe hai
kyā ḳhabar kab Duub jaa.e zindagī
ham habāboñ kā safar paanī pe hai
kyā ḳhabar kab mauj-e-tūfāñ de uchhāl
'nāzlī' terā bhī ghar paanī pe hai
ek charaghan raat bhar pani pe hai
raushni ka ek nagar pani pe hai
aks Dhalti shab ke rang-o-nur ka
jazib-e-qalb-o-nazar pani pe hai
chheDti hai ragni patwar kya
ek naghma sar-basar pani pe hai
chand ki aTkheliyan lahron ke sath
khel jari raat bhar pani pe hai
kashtiyan un ki tsunami le gai
jin gharibon ka basar pani pe hai
ek muTThi KHak anjam-e-hayat
asthiyon ka phir safar pani pe hai
kya KHabar kab Dub jae zindagi
hum hababon ka safar pani pe hai
kya KHabar kab mauj-e-tufan de uchhaal
'nazli' tera bhi ghar pani pe hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.