ek dafa uljhe to uljhe hi rahe
ik daf'a uljhe to uljhe hī rahe
pyaar ke saude meñ ghāTe hī rahe
dekh kar vo bas tamāshā.ī rahā
aur ham daldal meñ dhañste hī rahe
vo haqīqat kī taraf baḌhtā rahā
us ke sapne sirf sapne hī rahe
vaqt dariyā kī tarah bahtā rahā
be-'amal bas haath malte hī rahe
jaise jaise raushnī baḌhtī ga.ī
sab ke chehre phīke paḌte hī rahe
shāḳh se TuuTe the jo patte kabhī
abr bhī barsā to sūkhe hī rahe
rahmatoñ kī bārisheñ hotī rahīñ
aur zamīñ vaale ki pyāse hī rahe
'ishq ne barzaḳh meñ rakkhā yuuñ ki ham
un ke ho paa.e na ḳhud ke hī rahe
vaqt kā sūraj jagātā hī rahā
vo magar āñkhoñ ko mūñde hī rahe
rahbarī par naaz thā jin ko kabhī
dil kī rāhoñ meñ vo bhaTke hī rahe
chehra paḌhnā mujh ko aatā thā magar
chehre ke pīchhe bhī chehre hī rahe
ek daf'a uljhe to uljhe hi rahe
pyar ke saude mein ghaTe hi rahe
dekh kar wo bas tamashai raha
aur hum daldal mein dhanste hi rahe
wo haqiqat ki taraf baDhta raha
us ke sapne sirf sapne hi rahe
waqt dariya ki tarah bahta raha
be-'amal bas hath malte hi rahe
jaise jaise raushni baDhti gai
sab ke chehre phike paDte hi rahe
shaKH se TuTe the jo patte kabhi
abr bhi barsa to sukhe hi rahe
rahmaton ki barishen hoti rahin
aur zamin wale ki pyase hi rahe
'ishq ne barzaKH mein rakkha yun ki hum
un ke ho pae na KHud ke hi rahe
waqt ka suraj jagata hi raha
wo magar aankhon ko munde hi rahe
rahbari par naz tha jin ko kabhi
dil ki rahon mein wo bhaTke hi rahe
chehra paDhna mujh ko aata tha magar
chehre ke pichhe bhi chehre hi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.