ek dafa dekhti mujhe meri jaan
ik dafa dekhtī mujhe mirī jaañ
huuñ bahut chāhtā tujhe mirī jaañ
chāñd sūraj se haiñ tire jalve
bādaloñ sī jale bujhe mirī jaañ
phuul pattī kalī havā sab meñ
tū hī tū ab dikhe mujhe mirī jaañ
raas aatī nahīñ koī sūrat
yuuñ uchaTtī lage mujhe mirī jaañ
kāñptā hai badan ye soch ke hī
'rūh' bhūle kabhī tujhe mirī jaañ
ek dafa dekhti mujhe meri jaan
hun bahut chahta tujhe meri jaan
chand suraj se hain tere jalwe
baadalon si jale bujhe meri jaan
phul patti kali hawa sab mein
tu hi tu ab dikhe mujhe meri jaan
ras aati nahin koi surat
yun uchaTti lage mujhe meri jaan
kanpta hai badan ye soch ke hi
'ruh' bhule kabhi tujhe meri jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.