ek dam-e-guzran se umr-e-muKHtasar bandhe hue
ik dam-e-guzrāñ se 'umr-e-muḳhtasar bāñdhe hue
ḳhaak se haiñ shāḳh-e-gul ko be-ḳhabar bāñdhe hue
ik ḳhumār-e-'aks meñ larzāñ hai āb-e-ā.ina
sehr-e-hairānī hai koī fitna-gar bāñdhe hue
duur tak āñkhoñ meñ koī rāsta khultā nahīñ
aur ham sadiyoñ se haiñ raḳht-e-safar bāñdhe hue
oḌhnī siine ke aadhe moḌ par Dhalkī huī
baal māthe par zarā se chhoḌ kar bāñdhe hue
hai koī harf-e-'adam mā'nī-garī ke darmiyāñ
halqa-e-ib.hām hai 'aib-o-hunar bāñdhe hue
paañv meñ khiñchtī chalī jaatī hai zanjīr-e-safar
raqs meñ ham bhī haiñ naqsh-e-rahguzar bāñdhe hue
ik samundar jo uchhaltā hai kināroñ se pare
vo zarā sī buuñd meñ hai chashm-e-tar bāñdhe hue
daaġh hai siine pe ik tā'vīz kaale 'ishq kā
kyoñ na phir rakkheñ ise ham 'umr bhar bāñdhe hue
phir rahe haiñ kūcha-o-bāzār meñ ham bhī kahīñ
chādar-e-darvesh meñ jān-o-jigar bāñdhe hue
hai havā-e-ḳhush-bayāñ kaifiyyat-e-abr-e-bahār
aur haiñ aurāq-e-gul mazmūn-e-zar bāñdhe hue
jāniye is baar kaisī rut chalī hai shahr meñ
haiñ parinde ghoñsloñ meñ bāl-o-par bāñdhe hue
shahr meñ niklūñ to mujh ko gherte haiñ rāste
ghar meñ rakhte haiñ mujhe dīvār-o-dar bāñdhe hue
kaun suntā hai kahānī raat bhar 'sarmad' magar
hai tirā vird-e-suḳhan ham par asar bāñdhe hue
ek dam-e-guzran se 'umr-e-muKHtasar bandhe hue
KHak se hain shaKH-e-gul ko be-KHabar bandhe hue
ek KHumar-e-'aks mein larzan hai aab-e-aina
sehr-e-hairani hai koi fitna-gar bandhe hue
dur tak aankhon mein koi rasta khulta nahin
aur hum sadiyon se hain raKHt-e-safar bandhe hue
oDhni sine ke aadhe moD par Dhalki hui
baal mathe par zara se chhoD kar bandhe hue
hai koi harf-e-'adam ma'ni-gari ke darmiyan
halqa-e-ibham hai 'aib-o-hunar bandhe hue
panw mein khinchti chali jati hai zanjir-e-safar
raqs mein hum bhi hain naqsh-e-rahguzar bandhe hue
ek samundar jo uchhalta hai kinaron se pare
wo zara si bund mein hai chashm-e-tar bandhe hue
dagh hai sine pe ek ta'wiz kale 'ishq ka
kyon na phir rakkhen ise hum 'umr bhar bandhe hue
phir rahe hain kucha-o-bazar mein hum bhi kahin
chadar-e-darwesh mein jaan-o-jigar bandhe hue
hai hawa-e-KHush-bayan kaifiyyat-e-abr-e-bahaar
aur hain auraq-e-gul mazmun-e-zar bandhe hue
jaaniye is bar kaisi rut chali hai shahr mein
hain parinde ghonslon mein baal-o-par bandhe hue
shahr mein niklun to mujh ko gherte hain raste
ghar mein rakhte hain mujhe diwar-o-dar bandhe hue
kaun sunta hai kahani raat bhar 'sarmad' magar
hai tera wird-e-suKHan hum par asar bandhe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.