ek daricha nahin diwar mein ghar kaisa hai
ik darīcha nahīñ dīvār meñ ghar kaisā hai
hoñT logoñ ke sile haiñ ye nagar kaisā hai
ham jahāñ haiñ vahāñ ābād hai rāvan har-sū
koī batlā.e hameñ rām-nagar kaisā hai
chaar jānib hai ujāloñ kā samundar lekin
chauñk uThtā huuñ har aahaT pe ye Dar kaisā hai
koī tarsīl kī sūrat nazar aatī hī nahīñ
kis se daryāft karūñ shahr-e-hunar kaisā hai
ḳhud pe kartā hai shab-o-roz sitam hañs hañs kar
sochtā huuñ ki vo patthar kā jigar kaisā hai
āñdhiy.oñ meñ to sabhī peḌ zamīñ-bos hue
phir bhī 'firdaus' salāmat ye shajar kaisā hai
ek daricha nahin diwar mein ghar kaisa hai
honT logon ke sile hain ye nagar kaisa hai
hum jahan hain wahan aabaad hai rawan har-su
koi batlae hamein ram-nagar kaisa hai
chaar jaanib hai ujalon ka samundar lekin
chaunk uThta hun har aahaT pe ye Dar kaisa hai
koi tarsil ki surat nazar aati hi nahin
kis se daryaft karun shahr-e-hunar kaisa hai
KHud pe karta hai shab-o-roz sitam hans hans kar
sochta hun ki wo patthar ka jigar kaisa hai
aandhiyon mein to sabhi peD zamin-bos hue
phir bhi 'firdaus' salamat ye shajar kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.