ek dasht mein ek karwan rukta raha chalta raha
ik dasht meñ ik kārvāñ ruktā rahā chaltā rahā
ḳhauf-o-ḳhatar ke darmiyāñ ruktā rahā chaltā rahā
phūloñ ne to har us jagah aa kar basā.īñ bastiyāñ
in rāstoñ par tū jahāñ ruktā rahā chaltā rahā
pahle the vīrāne jahāñ ab haiñ vahāñ ābādiyāñ
yā'nī hujūm-e-be-karāñ ruktā rahā chaltā rahā
chalte hue rukte hue dekhā to maiñ hairāñ huā
hamrāh mere āsmāñ ruktā rahā chaltā rahā
jaane kahāñ ke log the aur jā rahe the vo kahāñ
har shaḳhs pahne beḌiyāñ ruktā rahā chaltā rahā
mere guzishta ke nishāñ mujh ko na aa paa.e nazar
ai zindagī maiñ kab kahāñ ruktā rahā chaltā rahā
go qāfile kī har savārī 'qais' thak ke mar ga.ī
be-dam akelā sārbāñ ruktā rahā chaltā rahā
ek dasht mein ek karwan rukta raha chalta raha
KHauf-o-KHatar ke darmiyan rukta raha chalta raha
phulon ne to har us jagah aa kar basain bastiyan
in raston par tu jahan rukta raha chalta raha
pahle the virane jahan ab hain wahan aabaadiyan
ya'ni hujum-e-be-karan rukta raha chalta raha
chalte hue rukte hue dekha to main hairan hua
hamrah mere aasman rukta raha chalta raha
jaane kahan ke log the aur ja rahe the wo kahan
har shaKHs pahne beDiyan rukta raha chalta raha
mere guzishta ke nishan mujh ko na aa pae nazar
ai zindagi main kab kahan rukta raha chalta raha
go qafile ki har sawari 'qais' thak ke mar gai
be-dam akela sarban rukta raha chalta raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.