ek dil mein tha ek samne dariya use kahna
ik dil meñ thā ik sāmne dariyā use kahnā
mumkin thā kahāñ paar utarnā use kahnā
hijrāñ ke samundar meñ hayūlā thā kisī kā
imkāñ ke bhañvar se koī ubhrā use kahnā
ik harf kī kirchī mire siine meñ chhupī thī
pahroñ thā koī TuuT ke royā use kahnā
muddat huī ḳhurshīd gahan se nahīñ niklā
aisā kahīñ taarā koī TuuTā use kahnā
jaatī thī koī raah akelī kisī jānib
tanhā thā safar meñ koī saayā use kahnā
har zaḳhm meñ dhaḌkan kī sadā guuñj rahī thī
ik hashr kā thā shor-sharāba use kahnā
ek dil mein tha ek samne dariya use kahna
mumkin tha kahan par utarna use kahna
hijran ke samundar mein hayula tha kisi ka
imkan ke bhanwar se koi ubhra use kahna
ek harf ki kirchi mere sine mein chhupi thi
pahron tha koi TuT ke roya use kahna
muddat hui KHurshid gahan se nahin nikla
aisa kahin tara koi TuTa use kahna
jati thi koi rah akeli kisi jaanib
tanha tha safar mein koi saya use kahna
har zaKHm mein dhaDkan ki sada gunj rahi thi
ek hashr ka tha shor-sharaba use kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.