Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek din zaban sukut ki puri banaunga

Umair Najmi

ek din zaban sukut ki puri banaunga

Umair Najmi

MORE BYUmair Najmi

    ik din zabāñ sukūt puurī banā.ūñgā

    maiñ guftugū ko ġhair-zarūrī banā.ūñgā

    tasvīr meñ banā.ūñgā donoñ ke haath aur

    donoñ meñ ek haath duurī banā.ūñgā

    muddat samet jumla zavābit hoñ tai-shuda

    ya.anī ta.alluqāt ubūrī banā.ūñgā

    tujh ko ḳhabar na hogī ki maiñ ās-pās huuñ

    is baar hāzirī ko huzūrī banā.ūñgā

    rañgoñ pe iḳhtiyār agar mil sakā kabhī

    terī siyāh putliyāñ bhūrī banā.ūñgā

    jaarī hai apnī zaat pe tahqīq āj-kal

    maiñ bhī ḳhalā pe ek theory banā.ūñgā

    maiñ chaah kar vo shakl mukammal na kar sakā

    us ko bhī lag rahā thā adhūrī banā.ūñgā

    ek din zaban sukut ki puri banaunga

    main guftugu ko ghair-zaruri banaunga

    taswir mein banaunga donon ke hath aur

    donon mein ek hath ki duri banaunga

    muddat samet jumla zawabit hon tai-shuda

    yani talluqat uburi banaunga

    tujh ko KHabar na hogi ki main aas-pas hun

    is bar haziri ko huzuri banaunga

    rangon pe iKHtiyar agar mil saka kabhi

    teri siyah putliyan bhuri banaunga

    jari hai apni zat pe tahqiq aaj-kal

    main bhi KHala pe ek theory banaunga

    main chah kar wo shakl mukammal na kar saka

    us ko bhi lag raha tha adhuri banaunga

    Source :
    • Book : Aakhiri Tasveer (Pg. 46)
    • Author : Umair Nazmi
    • Publication : Rekhta Publications (2024)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now