ek diya dil mein jalata hai chala jata hai
ik diyā dil meñ jalātā hai chalā jaatā hai
vo mujhe dekh ke ruktā hai chalā jaatā hai
us ke jaisā koī be-dard nahīñ ho saktā
dil meñ jazbāt jagātā hai chalā jaatā hai
tiin hī kaam mohabbat meñ tujhe aate haiñ
lauT aatā hai rulātā hai chalā jaatā hai
us ke hāthoñ meñ tabāhī ke sivā kuchh bhī nahīñ
kachche phal kaaT girātā hai chalā jaatā hai
chhoḌ jaatā hai tazabzub meñ vo mujh ko 'faisal'
dāstāñ aadhī sunātā hai chalā jaatā hai
ek diya dil mein jalata hai chala jata hai
wo mujhe dekh ke rukta hai chala jata hai
us ke jaisa koi be-dard nahin ho sakta
dil mein jazbaat jagata hai chala jata hai
tin hi kaam mohabbat mein tujhe aate hain
lauT aata hai rulata hai chala jata hai
us ke hathon mein tabahi ke siwa kuchh bhi nahin
kachche phal kaT giraata hai chala jata hai
chhoD jata hai tazabzub mein wo mujh ko 'faisal'
dastan aadhi sunata hai chala jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.