ek ek lafz ko bartun gar ehtimam se main
ik ek lafz ko bartūñ gar ehtimām se maiñ
maqām apnā banā saktā huuñ kalām se maiñ
vagarna us kī nazar mujh pe paḌ ga.ī hotī
ḳhudā kā shukr pukārā gayā na naam se maiñ
javāb meñ mujhe miltī hai raat kī kālak
savāl kartā huuñ jab bhī charāġh-e-shām se maiñ
isī liye to muqaddar pe naaz hai mujh ko
ki bādshāh banāyā gayā ġhulām se maiñ
lagā rahā huuñ sadā apne dil ke aivāñ meñ
bulā rahā huuñ tujhe kitne ehtirām se maiñ
vo aag mujh meñ bhaḌaktī hai jaañ taḌaktī hai
jo aag le gayā jalte hue ḳhiyām se maiñ
samajh rahā thā ki 'zahrāb' huuñ magar phir bhī
nikal sakā na mohabbat tumhāre daam se maiñ
ek ek lafz ko bartun gar ehtimam se main
maqam apna bana sakta hun kalam se main
wagarna us ki nazar mujh pe paD gai hoti
KHuda ka shukr pukara gaya na nam se main
jawab mein mujhe milti hai raat ki kalak
sawal karta hun jab bhi charagh-e-sham se main
isi liye to muqaddar pe naz hai mujh ko
ki baadshah banaya gaya ghulam se main
laga raha hun sada apne dil ke aiwan mein
bula raha hun tujhe kitne ehtiram se main
wo aag mujh mein bhaDakti hai jaan taDakti hai
jo aag le gaya jalte hue KHiyam se main
samajh raha tha ki 'zahrab' hun magar phir bhi
nikal saka na mohabbat tumhaare dam se main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.