ek falak aur hi sar par to bana sakte hain
ik falak aur hī sar par to banā sakte haiñ
kurra-e-arz ko behtar to banā sakte haiñ
ruuh meñ jis ne ye dahshat sī machā rakkhī hai
us kī tasvīr gumāñ bhar to banā sakte haiñ
ashk se ḳhaak huī tar yahī bas kaafī hai
ek be-jān sā paikar to banā sakte haiñ
ham agar ahl nahīñ peḌ ke phal khāne ke
shāḳh-e-sarsabz ko ḳhanjar to banā sakte haiñ
sach hai ham girya-kunāñ kuchh bhī nahīñ kar sakte
regzāroñ ko samundar to banā sakte haiñ
ātish o nuur se bijlī ke raheñ kyuuñ mahrūm
ham sar-e-dasht nayā ghar to banā sakte haiñ
garche parvāz kī quvvat nahīñ ḳhvāhish hai bahut
ham ḳhayālāt ko shahpar to banā sakte haiñ
lāla-gūñ manzar-e-shādāb sarāboñ meñ bhī
qulzum-e-ḳhūñ ho mayassar to banā sakte haiñ
ek falak aur hi sar par to bana sakte hain
kurra-e-arz ko behtar to bana sakte hain
ruh mein jis ne ye dahshat si macha rakkhi hai
us ki taswir guman bhar to bana sakte hain
ashk se KHak hui tar yahi bas kafi hai
ek be-jaan sa paikar to bana sakte hain
hum agar ahl nahin peD ke phal khane ke
shaKH-e-sarsabz ko KHanjar to bana sakte hain
sach hai hum girya-kunan kuchh bhi nahin kar sakte
regzaron ko samundar to bana sakte hain
aatish o nur se bijli ke rahen kyun mahrum
hum sar-e-dasht naya ghar to bana sakte hain
garche parwaz ki quwwat nahin KHwahish hai bahut
hum KHayalat ko shahpar to bana sakte hain
lala-gun manzar-e-shadab sarabon mein bhi
qulzum-e-KHun ho mayassar to bana sakte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.