ek faqat KHud se gila baqi raha
ik faqat ḳhud se gilā baaqī rahā
varna is dil meñ to kyā baaqī rahā
ik taraf terī kamī khaltī rahī
ik taraf apnā ḳhalā baaqī rahā
raah kī āsāniyāñ jaatī rahīñ
manziloñ kā marhala baaqī rahā
zindagī-dar-zindagī chaltī rahī
mas.ala-dar-mas.ala baaqī rahā
ham had-e-idrāk se majbūr the
ham se jo thā māvarā baaqī rahā
ho raheñge ham bhī us ke ek din
haañ agar dil meñ ḳhudā baaqī rahā
shahr-e-dil ke bā-vafā jab kho ga.e
āḳhirash ik be-vafā baaqī rahā
dil se terī yaad bhī ruḳhsat huī
aur ab kyā mo.ajiza baaqī rahā
ai dil-e-nākām kuchh to kar guzar
yā abhī kuchh sochnā baaqī rahā
ek faqat KHud se gila baqi raha
warna is dil mein to kya baqi raha
ek taraf teri kami khalti rahi
ek taraf apna KHala baqi raha
rah ki aasaniyan jati rahin
manzilon ka marhala baqi raha
zindagi-dar-zindagi chalti rahi
masala-dar-masala baqi raha
hum had-e-idrak se majbur the
hum se jo tha mawara baqi raha
ho rahenge hum bhi us ke ek din
han agar dil mein KHuda baqi raha
shahr-e-dil ke ba-wafa jab kho gae
aaKHirash ek be-wafa baqi raha
dil se teri yaad bhi ruKHsat hui
aur ab kya moajiza baqi raha
ai dil-e-nakaam kuchh to kar guzar
ya abhi kuchh sochna baqi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.