ek faza shoKH si gungunane lagi
ik fazā shoḳh sī gungunāne lagī
man kī be-kal sī kaliyāñ khilāne lagī
bhāgtī manzileñ sochte rāste
ek an-thak thakan raas aane lagī
shoḳh naddī kī bahut huī rāgnī
dūdhiyā chāñdnī meñ nahāne lagī
ik tire nuur se hai munavvar fazā
ik tirī mohnī dil lubhāne lagī
sā.atoñ kī hasīñ champa.ī raushnī
nit nayā shoḳh jaadū jagāne lagī
phir kabhī yaad kī had bharī kāmnā
āhaToñ hī se dil ko lagāne lagī
shoḳh palkoñ pe ruktī huī ik namī
kuchh uchaTte ta.alluq nibhāne lagī
ruḳh badaltī huī be-ruḳhī āḳhirash
sāmne baiTh kar muskurāne lagī
ek faza shoKH si gungunane lagi
man ki be-kal si kaliyan khilane lagi
bhagti manzilen sochte raste
ek an-thak thakan ras aane lagi
shoKH naddi ki bahut hui ragni
dudhiya chandni mein nahane lagi
ek tere nur se hai munawwar faza
ek teri mohni dil lubhane lagi
saaton ki hasin champai raushni
nit naya shoKH jadu jagane lagi
phir kabhi yaad ki had bhari kaamna
aahaTon hi se dil ko lagane lagi
shoKH palkon pe rukti hui ek nami
kuchh uchaTte talluq nibhane lagi
ruKH badalti hui be-ruKHi aaKHirash
samne baiTh kar muskurane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.