Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut

Krishn Bihari Noor

ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut

Krishn Bihari Noor

MORE BYKrishn Bihari Noor

    ik ġhazal us pe likhūñ dil taqāzā hai bahut

    in dinoñ ḳhud se bichhaḌ jaane dhaḌkā hai bahut

    raat ho din ho ki ġhaflat ho ki bedārī ho

    us ko dekhā to nahīñ hai use sochā hai bahut

    tishnagī ke bhī maqāmāt haiñ kyā kyā yaanī

    kabhī dariyā nahīñ kaafī kabhī qatra hai bahut

    mire hāthoñ lakīroñ ke izāfe haiñ gavāh

    maiñ ne patthar tarah ḳhud ko tarāshā hai bahut

    koī aayā hai zarūr aur yahāñ Thahrā bhī hai

    ghar dahlīz pe ai 'nūr' ujālā hai bahut

    ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut

    in dinon KHud se bichhaD jaane ka dhaDka hai bahut

    raat ho din ho ki ghaflat ho ki bedari ho

    us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut

    tishnagi ke bhi maqamat hain kya kya yani

    kabhi dariya nahin kafi kabhi qatra hai bahut

    mere hathon ki lakiron ke izafe hain gawah

    main ne patthar ki tarah KHud ko tarasha hai bahut

    koi aaya hai zarur aur yahan Thahra bhi hai

    ghar ki dahliz pe ai 'nur' ujala hai bahut

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now