ek ghaDi wasl ki be-wasl hui hai mujh mein
ik ghaḌī vasl kī be-vasl huī hai mujh meñ
kis ke aane kī ḳhabar qatl huī hai mujh meñ
saañs lene se bhī bhartā nahīñ siine kā ḳhalā
jaane kyā shai hai jo be-daḳhl huī hai mujh meñ
jal uThe haiñ sar-e-mizhgāñ tirī ḳhushbū ke charāġh
ab ke ḳhvāboñ kī ajab fasl huī hai mujh meñ
mujh se bāhar to faqat shor hai tanhā.ī kā
varna ye jañg to dar-asl huī hai mujh meñ
tū ne dekhā nahīñ ik shaḳhs ke jaane se 'salīm'
is bhare shahr kī jo shakl huī hai mujh meñ
ek ghaDi wasl ki be-wasl hui hai mujh mein
kis ke aane ki KHabar qatl hui hai mujh mein
sans lene se bhi bharta nahin sine ka KHala
jaane kya shai hai jo be-daKHl hui hai mujh mein
jal uThe hain sar-e-mizhgan teri KHushbu ke charagh
ab ke KHwabon ki ajab fasl hui hai mujh mein
mujh se bahar to faqat shor hai tanhai ka
warna ye jang to dar-asl hui hai mujh mein
tu ne dekha nahin ek shaKHs ke jaane se 'salim'
is bhare shahr ki jo shakl hui hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.