ek hasin la-jawab dekha hai
ik hasīn lā-javāb dekhā hai
raat ko āftāb dekhā hai
gorā mukhḌā ye surḳh gaal tire
chāñdnī meñ gulāb dekhā hai
nargisī aañkh zulf shab-rañgī
bādaloñ kā javāb dekhā hai
jhūmte jaam sā chhalaktā badan
ek jām-e-sharāb dekhā hai
ham to mil kar na mil sake tum ko
tum ko dekhā ki ḳhvāb dekhā hai
ek hasin la-jawab dekha hai
raat ko aaftab dekha hai
gora mukhDa ye surKH gal tere
chandni mein gulab dekha hai
nargisi aankh zulf shab-rangi
baadalon ka jawab dekha hai
jhumte jam sa chhalakta badan
ek jam-e-sharab dekha hai
hum to mil kar na mil sake tum ko
tum ko dekha ki KHwab dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.